Buzdili Ne Khud Tumko Kar Diya Juda Humse
Hosla Agar Rakhtay.. Mere Humsafar Hotay

xai

 
Sajh Sakti Hai Mehfil-e-December Abhi Kuch Lamhay Baaqi Hain
Agar Chaho.. Agar Samjho.. Meri Maano, To Laut Aao !!!

xai

 
Aashiq Ne Diya Hai Tujhe Muqaam Ghazab Ka
Warna ..
Aey Ishq ! Teri Do Kori Ki Auqaat Nahi !!!


xai
 
Log Shor Se Jaagay Jatay Hain Wasi
Mujhe Uski Khamoshi Sonay Nahi Deti

xai

 
Laut Aayi Hain Dekho Barishen Phir Se Yahan Wahan
Ek Tumhi Ko Laut Aanay Ki Fursat Nahi Mili !!!

xai

 
Itne Saleeqay Se Yaad Aatay Ho Janab
Jaisay Barish Ho Waqfay Waqfay Se ..

xai

 
Bas Bhi Kar De Ae Badal Garajna Barasna
Ghalti Ki Tujhe Apna Haal-e-Dil Suna Kar

xai

 
Ab Bhi Ilzaam-e-Mohabbat Hai Mere Sar Par ???
Ab To Banti Bhi Nahi Yaar Hamari Unki ...!!!

xai

 
Shart-e-Mohabbat Ye Nahi Kay Usay Paa Hi Liya Jaye
Jin Se Hoti Hai Mohabbat..
Wo Dil Ki Khamosh Dharkan Mein Basa Kartay Hain

xai

 
Barasti Barish Se Bas Mujhe Itni Si Nisbat Hai Wasi
Kay Is Tarha Ka Ek Mausam Mere Andar Bhi Rehta Hai

xai

    Author

    ครเŦ אคเ

    4 & 2 Line (Couplets) Archives

    September 2012
    August 2012
    July 2012
    June 2012
    May 2012
    April 2012
    March 2012
    February 2012

    Categories

    All
    2 Line Couplets
    4 Lines Poetry
    Urdu Poetry On Wallpaper

    Protected by Copyscape Web Plagiarism Detector